Advertisement

Amazing benefits of panchamrit

PANCHAMRAT LENE KE FAYADE OR SAHI TARIKA

Pooja me bhog lagaya jaane waala panchamrat paanch cheejo se milkar bana hota hai or amrat maana jaata hai,lekin yah amrat hai to fir ise do ya teen chammach se jyada kyo nahi khaya ja sakta hai. panchamrat me gaay ka doodh gaay ka hi dahi or ghee cheeni or shahad kaam me liya jaata hai.kuchh sthano me cheeni ki jagha kela milaya jaata hai. isme sabhi cheejo ki maatra alag alag hoti hai. udaharan ke liye doodh paanch chammach dahi chaar chammach cheeni teen chammach ghee do chammach or shahad ek chammach.is panchamrat me kai aisi cheeje hoti hai jo alag alag swabhav ki hoti hai jinhe saath me lena hanikarak hota hai lekin agar ise ek tayshuda matra me liya jaaye to yah amrat ke saman fayda karti hai



KAB LE

Ise hamesha morning khaali pet lene par fayda milta hai.

yah shareer me saptdhaatu dosh ko theek karta hai

yah mastisk ka tonik hota hai or mastisk ko tarotaaja rakhta hai.

skin me kasawat laata hai

rog pratirodhak chhamta badata hai

samajhne ki chhamta achhi hoti hai

(2 ya 3 chammach hi kyo khate hai)

isme paanch viprit prakriti ki cheeje mili hoti hai jo dava ki tarha hai jise simit lena hi theek hai. ghee or shahad barabar matra me to jahar saath hi mila hua shahad or cheeni ek matra ke baad ghatak hoti hai. shahad me Polysaccharide hai or ghe fati acids ki complex chain hai. shahad ko pachane me ek vishesh enjaim ki jarurat hoti hai or ghee pachane ke liye iske viprit tatva jaruri hai. shahad, chini or ghee saath milte hai to gastrointestinal track dushit ho jaata hai. jyada lene par sharir me free redicals adhik hote hai, jis se bimariya ho sakti hai. doodh complete food hai, ise akele hi lena chahiye doodh ke do ghante baad dahi khana chahiye.



Banane ki vidhi

Panchamrit ko banane me paanch cheejo ki jarurat hoti hai


1.Doodh 1/2 cup
2.Dahi 1/2 cup
3.Shahad 1 chammach
4.Pure Ghee 1 chammach
5.Cheeni

Ek bade katore me dahi lekar use halke haatho se fait le taaki uski guthliye khatm ho jaye ab isme baaki saari samgri doodh, shahad, pure ghee, or cheeni mila de. dhyan rahe doodh dalne se pahle dahi ko achche se fait le taaki doodh dalne par dahi aur sabhi samagriya achche se mil jaye. agar aap chahe to tulsi meva or makhane bhi daal sakte hai.uske baad sabhi cheejo ko achche se milaye.lijiye aapka panchamrit bankar taiyar ho gaya hai.

Comments

Popular posts from this blog

About Yoga Nidra and How To Do

Uses of Triphala in Ayurveda

Ten healthy Eating habits